mezon ke shishon par bikhre KHali jam ke gile halqe
sigreTon ke dhuen ke chhalle diwaron par TuT chale hain
sara kamra dhuan dhuan hai sari faza hai mahki mahki
do ek dhundle dhundle sar hain jhuke hue be-sudh hathon par
raat ka nashsha TuT raha hai
jab aae the is mahfil mein nae purane sab sathi the
kaun kise pahchanega jab ek ek kar ke uTh jaenge
ye mahfil hai raat ke dam tak din nikle to aankh khulegi
sab apne apne daman par lage hue dhabbe dho lenge
apni apni na-dani par ya hans lenge ya ro lenge
Nazm
Raat ke sae
Rashid Aazar