raat ne apni mehrban bahen phaila din
aur siskiyon ka jawar bhaTa tarikiyon se lipaT gaya
taswiron ko pahchanne wale dilon ke dipak bujhte gae
aur un sari anjaan taswiron ke darmiyan
hairan aankhen hain
aur siskiyon ka jawar bhaTa
siskiyan jinhen zindagi ke tawil dinon ne panah na di
aur kirnon par bhagte hue
kisi ne nahin socha
nasheb mein ghaTiyon ke darmiyan raat Thaharti hai
kam aql musafir qadmon ki samajh mein na aaya
ki zindagi charindon aur hadd-e-nigah tak phaili ghas ka muahida nahin hai
aawaz ki samten mutayyan ho gain
aur taqlid ke aaseb lafzon ke pak-daman sayyaron ko raundte chale gae
anthak mehnaton ki samajh mein kuchh na aaya
yahan tak ki soch ki sunahri raushaniyan thak kar gir paDen
nasheb aur nasheb ki jaanib
junun ka nasheb
jahan raat Thaharti hai
aur pur-asrariyat ka saneha
jahan sarabon ke asrar khul gae
aur jahan musafir qadmon aur anthak mehnaton aur siskiyon ke jawar bhaTa ki dosti hai
ye raat ka paDaw hai jahan
aankhon ki tamam an-ginat saDken
KHuda hafiz ki bhul bhulayyon mein gum ho jati hain
Nazm
Raat ke paDaw par
Tanveer Anjum