raat kai dinon se ghaeb thi
saKHt kohre ki dabiz saaton mein
halq mein
ram ki ek puri botal jhonk ke
sargent
raat ki wigilance pe nikla
raat kai raaton se ghaeb thi
lauTa aaTh ghanTe ke baad
KHali hath muzmahil niDhaal sa
apne ghar
dekha raat be libas
us ke samne
palang par paDi hui thi
gaD raha tha suraj
apna neza
us ke KHufiya qufl mein
bed-room ki khiDki ke ek shishe par
pani ki ek be-rabt lakir
dhire dhire gir rahi thi
us ke KHali hathon se hote hue
us ki painT ke agle hisse mein
aDe hue qalam ke pas
saKHt dabiz kohre ki saaton mein
halq mein
ram ki ek puri botal jhonk ke
sargent
raat ki wigilance pe nikla
raat kai dinon se ghaeb thi
Nazm
Raat kai dinon se ghaeb thi
Salahuddin Parvez