shahr ki galiyon ke raushan zawiye
raat ki tanhaiyon ke ham-safar
aasman ke nile nile hashiye
chand ki ranaiyon ke nauhagar
tirgi lipTi hui diwar se
subh ki tabaniyon ki muntazir
raston ke pech o KHam bazar se
lauT kar aae hon jaise bar bar
ek virani hai meri gham-gusar
kuchh siyah kuchh surKH kuchh KHakistari
rang ke kutton pe ujli dhaariyan
jin ki shiryanon mein shorida-sari
aur daryuza-gari ka imtizaj
ye saman aur raat ki jadugari
chand ka le kar chali hathon mein taj
Nazm
Raat ka taj
Qamar Jameel