raat abhi aadhi guzri hai
shahr ki raunaq bujhi nahin hai
thake nahin hain us mahfil ke saz abhi tak
yaad ke baala-KHanon se aati hai kuchh aawaz abhi tak
main ki zawal-e-shahr ka nauha likhne wala
ek purana qissa-go hun
alamaton ke jangal se
sandal ki lakDi hath mein le kar
aiwanon se guzar raha hun
sazinde ab
aaKHiri thap ki mahrumi
shab ki mizan par tol rahe hain
dhime suron mein
sust parinde
apni boli bol rahe hain
udhar gali mein
muarraKHin-e-bab-e-mashriq
nai kitaben khol rahe hain
raat abhi aadhi guzri hai
lekin subh-e-nau ki kirnen
apna rasta DhunDhti
misr ke bazaron mein utar rahi hain
aadhi raat ke baad
tabl bajta hai taza manzar ka
mujhe bhi sara hisab barabar karna hai apne ghar ka
Nazm
Raat abhi aadhi guzri hai
Ain Tabish