us ke lahje mein sham ho rahi thi
aur raste raston ko chhoDte hue
kisi aur raste par ja rahe the
us ka badan KHud se alag hone ke liye
apne hi badan se puchh raha tha
kunware rahne ki tapasya akarat gai
kisi chahne wale ko
us ne ek bosa bhi nahin diya
us ki miTTi ne kisi aur miTTi ko chhua hi nahin
shariat ki aamariyyat ko
KHud us ne hi dawat di thi
warna KHuda se kisi ghalat ko
ghalat chhune ki baat to kabhi hui hi nahin thi
aur koi hum se bhul ke
hamari aaKHiri KHwahish bhi na puchhe
aisa to kabhi hua hi nahin
Dubte hue jahaz mein bhagne wale
aaKHiri chuhe ko bhi to
kisi ne bhi nahin dekha
siwae us ke ki
Dubone wale pani ne
KHud ko dekha
ya Dubne wale ko dekha
mohabbat jin rangon se
bani hui kahani thi
us ke kisi bhi kirdar ko
is ne kabhi bhule se bhi pas na aane diya
ek ThanDi jamid bisat par dauDti hui
mayusi ko
parinda banne ki KHwahish to zarur rahi hogi
magar kya koi ye dekh sakta hai ki
kisi botal se kag arne ke manzar mein
botal ke baatin par kya guzarti hai
kisi ghalat munh se nikle hue lafz se
zindagi ki aab-o-hawa par kya guzarti hai
duniya mein hone wale kisi bhi zulm ne
bas misal hi to qaem ki
ek tariKH hi to banai
hath mein uThae hue ek patthar se
an-ginat hathiyaron tak
darmiyan mein
zamane to an-ginat rahe honge
ya tariKH to ek hi thi
kisi ghalat ko sahi mein badalne ki KHwahish
duniya ka nizam badal sakti to
aaj tak hum ghalat KHwab
na dekh rahe hote
phir ye azab kya hai ki
hum ek puri zindagi
ghalat KHwabon ke hawale karte hue
KHud KHwab ho jaen
ye aur baat ki
pur-asrar ghaib mein
yaqin na rakhne wale ko bhi
kisi bhi ghaib se
kuchh pane ya madad lene ki
KHwahish to hoti hai
aur KHwahish ka kya hai
KHwahish agar zamin par rengne wali
chyunTi bhi ho to
wo hathi ko halak kar sakti hai
ek chyunTi hathi ko
is liye halak kar deti hai ki
use is ke sar tak
pahanne ki rah ka gyan
aadmi se kahin zyaada hota hai
afsos ki chyunTi se zyaada
gyan wala aadmi to
zamin par paida hi nahin hua
afsos pahaD ki chaDhai chaDhne
aur unchi choTiyon ko
sar karne walon mein se
koi ek bhi aisa nahin hua
jo pahle zindagi nam ke hathi ke sarki
chaDhai chaDhta ya is ke sar ko
sar kar chuka hota
aadmi ne ghar banaya
is mein rahne ke liye
magar wo us mein kabhi raha is liye nahin ki
ru-e-zamin par
kisi bhi ghar ka baatin nahin ban saka
ek puri duniya ka zahir to
hamari nazar mein rakh diya gaya
magar baatin se bani hui
koi duniya to bani hi nahin
to hum kya dekhte
ya dikhane walon se hum kya kahte
ya is se kya kahte
jis ke lahje mein sham hone se pahle
din ki raushni ki
koi bisat to rahi hogi
palaT ke kuchh dekhne ki ada bhi
nahin malum thi
warna koi kah sakta hai ki
use asbab se bhari hui duniya se
kuchh mayassar aaya
nahin kuchh bhi to nahin
ya jo duniya
asbab se bhari hui dikhai gai
wo KHud apni jagah thi bhi ya nahin
aur is ki koi bhi shai
apni jagah thi bhi ya nahin
Nazm
Raste mein sham ka muqaddar hona
Ahmad Hamesh