zindagi ke kai mear hain
waraq waraq
ek ruKH-e-ehsas ko
fitri aur masnui sath par banTana
apne aur parae ko
do daeron mein taqsim karna
ya barud ke dhamakon mein
zamin ko TukDe TukDe karna
zindagi barae zindagi ko manne wale
waqt ka kohra chhaTte hi
aastha ke aks phaila dete hain
pagal KHayal ki shiddat ghaT jati hai
us pal shaKH-dar-shaKH
phailne wali KHushbu
kisi ajnabi kalai par
ek rakhi bandh deti hai
pal bhar mein kaDwi sachchaiyan
rishton ki tamam haden toD kar
bhai bahan ke rishte mein badal jati hain
zehn mein maujud tamam talKHiyan
KHushnuma ehsas mein
KHud-baKHud Dhal jati hain
'imam-azam' ki dua hai
be-misal rishte ka ye bandhan
sada qaem rahe
Nazm
Rakhi bandhan
Imam Azam