اردو हिंदी
Rahguzar | Shaahi Shayari
rahguzar

Nazm

Rahguzar

Shamim Karhani

;

(thartharaata hua ehsas ke gham-KHane mein
nargisi aankhon ka masum sa shikwa din raat

zist ke sath raha karta hai sae ki tarah
chand utre hue chehron ka taqaza din raat)

sham hoti hai to roti hain nandasi aankhen
loriyan ruTh gain pyar bhari baat gai

subh aati hai to kahti hain nigahen uTh kar
kis liye din ka ujala hua kyun raat gai)

(raushni lae jo koi to kahan se lae
sham-e-gham bhul gai subh-e-KHushi ka rasta

khoi khoi si nigahon mein chamak hai phir bhi
ab bhi takta hai koi jaise kisi ka rasta

panw kanTon mein hain taron pe nazar hai ai dost)