bara-dari mein chand sar-e-sham ho gaya
rah-dariyon ke parde uDati rahi hawa
mashal-tale ghulam ki talwar kho gai
burgi pe jab sitara gira
raat thi bahut
aur shah-e-waqt apne hi nashshe mein mast tha
pishwaz niche daera us ko nahin mila
bara-dari mein aag lagi thi
lagi rahi
aur bansuri ke nai kahin KHamosh rah gai
aur chand shahzadi ke qadmon mein so gaya
phir yun hua ki dard se
aansu hue gulab
aur aanhken huin charagh
yalghaar raston pe rahi
aandhiyon ki shab
aur dhul aasman ko barbaad kar gai
sab aanganon ke kachche ghaDon mein bhari hai ret
pani lahu hua
sarshaar o mast kaise
zamin par gira hai taj
so is ke baad chaal o tariKH ne chali
yalghaar-e-barq-o-baad hui hai gali gali
boson mein bhigti hui tanhaiyon ki yaad
aur subh ki azan se uDe dilbari ke rang
aur KHwab jangalon mein bhaTakte rahe kahin
baala-hsar
shahr-e-pinah
baam-o-dar
mahal
tufani barishon mein bhi khilte rahe gulab
ham-juft sara shahr
bara-dari mein zindagi be-nam ho gai
Nazm
Rahdari mein gunjti nazm
Faheem Shanas Kazmi