sanjh sawere mauj mein apni
bahta jae waqt ka dhaara
jaise sagar gahra
jaane kahan hai manzil us ki
jaane kahan kinara
waqt ke is gahre sagar mein
Dol rahi hai jiwan naw
pichhe bhi manjdhaar hai is ke
aage bhi manjdhaar hai is ke
aur is naw mein baiTha hai ek sansar
jaane ko us par
aur ye naw pal ke pal mein
yun khae hachkole
sham ke baDhte andhiyaron mein
bina piritam jaise
tari ka man Dole
naw mein baiThe sare musafir
hain ek gahri soch mein gum
lekin sab ke dil mein khile hain
kuchh aasha ke phul
jin par jamti jae pal pal
ek nirash ki dhul
jis ke karan ho jata hai jiwan
bhag bhag mein likkhi bhul
lekin kaun ye jaane
kis ke bhag mein likkhe hain
kis kis ke dukh-sukh ke bhed
kis ke hath ki rekhaon mein
pyas likhi hai
kis ki qismat mein paimane
kaun ye jaane
aur agar kuchh jaan bhi jae koi
apni rekhaon mein likkhi pyas na koi mane
lekin chahe koi mane, chahe koi na mane
sanjh-sawere mauj mein apni
bahta jae waqt ka dhaara
aur is dhaare sang chali hai
Dag-mag Dag-mag jiwan naw
Nazm
Rag gyan
Mubeen Mirza