hawa ne kunj-e-gum-gashta mein aa ke
meri palkon par jami viraniyon ki KHak ko jhaDa
aur apni shabnam afshani se meri banjh palkon ko
guhar-bari mein badla
ye samajhti hai
main us ke hath mein ungli thama kar
phir kisi na-dida parbat ke safar ki zid karunga
ta-abad ham-rah phirunga
waqt ek disposable rishte ki surat hai
jo istimal hota hai
basar hota nahin
mujhe takmil ki sarhad pe la ke raegani ki bashaarat di gai hai
main jo reza reza malba banti aabaadi ka nauha-KHwan hun
mere hath ki KHwahish
qalam se, phul ki patti banana chahti hai
magar main malbe ki inTon ki ginti kar raha hun
ghar ke virane mein baiTha
yaad aane wale lamhon ko
bhulane ke liye dohra raha hun
Nazm
Raegani ki bashaarat
Qasim Yaqub