hum jo kabhi kabhi hote hain
aur akasr nahin hote
KHwab ki aulad hain
takmil ek sahra ka nam hai
jis ke safar ke liye
jitni naslon ki umr chahe
utni naslen abhi paida nahin huin
aur wo jo mere sahra ka sarab tha
main ne apne apne zinda lamhon ko
us ke nam kar diya
wo kaun tha
wo marte hue mazduron ki umang nahin tha
aur wo gharib talib-e-ilm ki wo fees nahin tha
jo ek ek paise se mil kar banti hai
aur wo kunwari beTi ka wo jahez bhi nahin tha
jo KHushi ke mazbut tale ki iklauti kunji ban jata
wo kaun tha
wo tanhai se mazid tanhai tak safar ka wo darmiyan tha
jo sirf bahrup hota hai
KHwab ne bahrup se shadi kar li
aur main ne apne zinda lamhon ko
bahrup ke nam kar diya
jis ka nam KHud-farebi hai
rup aur bahrup ke darmiyan bahti hai
wo jo dhund ki lakir ke us par
bahrup ki duniya mein chala gaya
lauT kar na aaya
aur main ne lauT kar na aane walon ke nam
asl ke zamane kar diye
asl ke zamane
lauT kar na aane walon ke sath
dhund ke us par chale gae
ye dil wo musa hai
jo aag lene gaya aur use sirf aag hi mili
angaron ko tham kar
musa ne apne hath jala liye
aur zindagi ke rang ne
jale hue hathon par chaDhne se inkar kar diya
main takmil ke sahra mein bhaTakta hua zarra hun
suraj hone ke guman se dur
aur bache hue lamhon ko god mein liye zindagi
har raegan subh ki chita par
sati ho jaane wali bewa hai
Nazm
Raegan subh ki chita par
Tanveer Anjum