اردو हिंदी
Qurratul-ain-haidar | Shaahi Shayari
qurratul-ain-haidar

Nazm

Qurratul-ain-haidar

Ambarin Salahuddin

;

main ne dekhi hain kisi chehre mein aisi aankhen
jin mein mere kai anjaane sawalon ke jawab

aisi aasani se sachchai ke dar kholte hain
aasmanon mein zaminon ke sanam bolte hain

main ne jaana hai ki lafzon ke tilismi dhage
kaise tariKH ko unwan nae dete hain

kaise aa milte hain sadiyon ki judai ke asir
kis tarah KHwab nae aks saja lete hain

yunhi is hairat-e-hasti ki panahon mein kahin
zindagi sab ke liye apne hunar kholti hai

han magar KHas qadam uThte hain rahon mein tabhi
ye zamin chand sitaron se udhar Dolti hai

aur is samt jo dekhun wo nazar bolti hai
main bhala kaun hun kirdar hun kis KHake ka

mere hone se jahan bhar ko musibat kya hai
kaise dozaKH ka pata mangti hun us ke ewaz

meri hasti ki zamane mein haqiqat kya hai
main ne dekha hai mera kal kisi guzre pal mein

main ne jaana hai kahan mera qadam Thahra hai
us ke imroz ko dekha hai to ye ilm hua

meri taqdir mere farda mein rakkha kya hai