ai qatil-e-harf-e-la
ai mah-e-qazwin sun
tere iqbaal ka marqad charagh-e-asr tha
ab taq-e-nisyan mein sajaya ja chuka hai
nil ke sahil se le kar ta-ba-KHak ka sher
ek KHwab tha shayad bhulaya ja chuka hai
aur hamari lok-danish ka hamare madrason mein daKHila mamnua Thahra hai
zar-e-KHalis luTaya ja raha hai koelon par saKHt pahra hai
purane mabadon ke taqchon mein gard uDti hai
gulistan bostan wa bulbul-e-shiraaz bhi yan ajnabi Thahre
mujhe ab kaun puchhega
qatil-e-harf-e-la
kaenati ishaariya
wahan jo kuchh hua hai raushni mujh ko batati hai
yahan jo ho raha hai raushni tum ko bataege
magar ye raushni aage bhi jaegi
har ek shai ko bil-aKHir nur ke sanche mein Dhalna hai
hamein bhi do qadam is raushni ke sath chalna hai
ye musht-e-KHak bhi maqdur-bhar to jagmagaegi
mashiyyat muskuraegi
magar ye raushni aage bhi jaegi
Nazm
Qurrat-ul-ain-tahira ke liye ek nazm
Kausar Mahmood