phir aa gaya hai mulk mein qurbaniyon ka mal
ki iKHtiyar qimaton ne rakiTon ki chaal
qamat mein bakra unT ki qimat ka ham-KHayal
dil baiThta hai uThte hi qurbani ka sawal
qimat ne aadmi hi ko bakra bana diya
bakre ko misl-e-naqa-e-laila bana diya
bakre ke pichhe pichhe hain majnun ka bhar ke swang
gar ho sake KHaridiye bakre ki ek Tang
qimat jo Tang ki hai laga degi phir chhalang
mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang
TeDha laga hai qat qalam-e-sarnawisht ko
mahngai mein chala hai ye bakra bahisht ko
dehat se jo shahar mein bakron ko lae hain
malum ho raha hai wo jannat se aae hain
qimat ne aasman ke tare dikhae hain
bakra nahin KHarida gunah baKHshwae hain
qurbani aise haal mein amr-e-muhaal hai
bakra tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai
qurbani ho bhi jae magar khinch rahi hai khaal
ai gosht khane walo zara KHud karo KHayal
bakre ke sath hota hai gahak ka intiqal
gar qimaten yahi hain to jine ka kya sawal
hain galla-ban logon ke pichhe paDe hue
aur bakra le ke hum bhi hain murghe bane hue
chaurahon par khaDe hue bakron ke hain jo ghol
tu un ke munh ko khol ke danton ko mat TaTol
qimat mein warna aaega fauran hi itna jhol
sone ka jaise bakra ho aisa paDega mol
KHud hi kahega bakra ki tujh mein agar hai aql
apni gali mein mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
bakre tamam rah mein hunkarte chale
banglon ke bel-buTon pe munh marte chale
jis ghar mein ghus gae wahin iftarte chale
aur jab hile jagah se to siskarte chale
ghar wale kah rahe hain ki bahar nikal do
bakre musir hain is pe ki Dera hi Dal do
bakra jo sing wala bhi hai aur fasadi hai
us ne siyasi-jalson mein gaDbaD macha di hai
chalte hue julus mein Takkar laga di hai
aur wotaron mein parTi-bazi kara di hai
bakre hain leaderon ki tarah jin pe jhul hai
hunkarte hain chup bhi karana fuzul hai
bakre jo phir rahe hain saDak par idhar udhar
jalson mein aur juluson mein karte hain shab basar
bakre ki puri nasl se bezar hain bashar
jamhuriyat ke bakron ki le kya koi KHabar
Dar hai ki bakra bhuk ki haDtal kar na jae
manhus sab ke waste ye sal kar na jae
qurbaniyon ka daur hai bakron ki KHair ho
hai aur baat haalat-e-insan ghair ho
qarze mein us ka jakDa hua hath pair ho
lekin nasib bakre ko jannat ki sair ho
bakre ke sar pe aaegi shamat hi kyun na ho
is mein hamare sar pe qayamat hi kyun na ho
bakron ki itni garmi-e-bazar dekh kar
aur qimaton ki tezi-e-raftar dekh kar
bakra KHarida sasta sa bimar dekh kar
jo mar gaya chhuri pe meri dhaar dekh kar
mere nasib mein na thi qurbani ki KHushi
is maslahat se kar li hai bakre ne KHud-kushi
Nazm
Qurbani ke bakre
Syed Mohammad Jafri