surKH aankhen ghumate hue bheDiye raat ka husn hain
sarsaraate hue shaKHchon mein chhupe manda panchhi
musalle pe baiThe hue rish-dar ahl-e-baatin
pinghuDe mein kilkarte nur chehre
ye bistar badalti hui laDkiyan
zahr ugalte hue sanp
diwar par jast karte hue sae
laDti hui billiyan
raat ka husn hain
apne sar par ye sadiyon se phaila hua be-mah-o-najm gardun
sar-e-sham rang apna tabdil karta hai to raat ka aaina jagta hai
andheron bhare aaine mein sadaen hain, surat nahin
samea shakl tartib deta hai
sunte hue jagmagate hain aawaz ke KHal-o-KHad
main ne sargoshiyon qahqahon manzilon aahaTon
aur aahon mein dekha hai husn
ek pairae mein sar uThati hain ghurrahTen, wasl-asar sansen
ye palken jo aahista aahista Dhalne lagi hain
shafaq jo andhere mein ghulne lagi hai
yahi raat ka husn hai
raat aankhon mein hai
Nazm
Qissa-e-shab
Tabish Kamal