lauh ka rasta, dhup ke shamiyanon se Dhanpa hua
ajnabi ajnabi chap sunta raha sath chalta raha
aur phir ek din das moharram ki aankhon se nikla hua
ek sunahri kanwal
yun uchhaala ufaq ki shafaq jhil mein
sham ke waqt ne
jaise iblis sikka koi
phenk de rahm-e-tariKH ke surKH kashkol mein
aasman ruk gaya ruk gaya aasman
so gaya ijtimai lahad mein kahin zindagi ka damishq
main ne socha ki aise mein bahta nahin
ashk-e-ab-e-furaat
rasta rok pahle paDaw ke KHeme laga
aur phir sham ki baz-gashton mein bahti azan
mujh se kahne lagi
waqt ko zae karna gunah-e-kabira se bhi baDh ke hai
qibla-ru ho ke labbaik main ne kaha
koi shah-e-rag ke andar se kahne laga
ki namazen qaza lauT sakti hain lekin qaza saaten
lauT sakti nahin!
Nazm
Qaza nahin hona tujhe
Mansoor Aafaque