اردو हिंदी
Qaus-e-quzah | Shaahi Shayari
qaus-e-quzah

Nazm

Qaus-e-quzah

Abdul Ahad Saaz

;

khinchi hai qaus-e-quzah aasman par sar-e-sham!
ajib kaif sa hai hairat-e-nazar mein nihan!

ajib kaif sa jinsi bhi mawarai bhi
chhalakte jism ki golaiyon ka raaz hai kya!

aur us mein ruh ki rangin dhaariyon ka fusun!?
latif sath-e-tafakkur pe khoya khoya sa

ubhar raha hai ye pur-karb o pur-surur sawal
ye sat rang ki lahren ye daere ki kaman!