اردو हिंदी
Qaumi yak-jehti | Shaahi Shayari
qaumi yak-jehti

Nazm

Qaumi yak-jehti

Nida Fazli

;

wo tawaif
kai mardon ko pahchanti hai

shayad isi liye
duniya ko ziyaada jaanti hai

us ke kamre mein
har mazhab ke bhagwan ki ek ek taswir laTki hai

ye taswiren
leaderon ki taqriron ki tarah numaishi nahin

us ka darwaza
raat gae tak

hindu
muslim

sikh
isai

har mazhab ke aadmi ke liye khula rahta hai
KHuda jaane

us ke kamre ki si kushadgi
masjid aur mandir ke aanganon mein kab paida hogi