hum kaam ke naghme gate hain be-kar tarana kya jaanen
jo sirf amal ke bande hain wo baat banana kya jaanen
rag rag mein lahu ko garmate jate hain watan ki jai gate
hum ahd-e-jawani ke mate buDhon ka zamana kya jaanen
tufan mein kashti khete hain kohsar se Takkar lete hain
hum jang mein sar de dete hain hum panw haTana kya jaanen
bigDon ko banane aae hain ghurbat ko miTane aae hain
hum aag bujhane aae hain hum aag lagana kya jaanen
diwar wo kale zindan ki taswir wo zulm insan ki
shahid hai hamare arman ki hum jaan churana kya jaanen
wo husn-o-jawani ki raaten wo kaif-o-tarannum ki baaten
wo lal-o-gohar ki barsaten hum log manana kya jaanen
iflas ke mare bandon ke kis tarah bilakte hain bachche
jo dekh rahe hain aankhon se wo jashn manana kya jaanen
wo aur hain jo karte hain sitam KHud shad hain duniya mahw-e-alam
hum zaKHm pe rakhte hain marham hum zaKHm lagana kya jaanen
be-KHauf chale sanginon par aur rok li goli sinon par
likkha hai hamari jabinon par hum sar ka jhukana kya jaanen
Nazm
Qaumi git
Shamim Karhani