اردو हिंदी
Qaumi git | Shaahi Shayari
qaumi git

Nazm

Qaumi git

Arzoo Lakhnavi

;

ai man ai man tujh ko salam bhaarat-mata ko parnam
tu to kaisi pyari man hai

sab maon se achchhi man hai
laD uThane wali man hai

apni man hai apni man hai
mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam

teri mang mein ganga jal hai
bhara para tera aanchal hai

hariyali hai phul hai phal hai
teri god sukh-manDal hai

mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam
sab se unche parbat wali

sab se baDh kar shaukat wali
sab se bhaari daulat wali

izzat wali azmat wali
mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam

teri chhati dharm samundar
jis ki maujen masjid mandir

donon ki hai gunj barabar
allah allah ishwar ishwar

mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam
hindu muslim gore kale

prem ki daru ke matwale
sab hain teri god ke pale

sab hain baat pe marne wale
mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam

tere dudh ki sab mein taqat
ulfat izzat himmat jurat

teri duaen fath-o-nusrat
tere panw ke niche jannat

mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam
ab to luTere tujh ko lauTen

be-bhugte bhugtan na chhuTen
hath mein dhun ho bazu TuTen

ghur ke dekhen aankhen phuTin
mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam

tujh se aashirbaad jo paen
aarzu aise bhi tan jaen

bijli ban kar aafat Dhaen
dur hun phir to sari balaen

mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam
ai man ai man tujh ko salam bhaarat-mata ko parnam