kunware khet meri KHwahishon ke
tishnagi ki dhup mein
jalte hain
sim aur thur mayusi ke
kale qahr ki surat
lahu ka ek ek qatra
ragon se chuste jate hain
pile mausamon ki chup
bani hai bhag ki rekha
ki sadiyon se paDa hai qaht giton ka
jo fasl kaTte waqt gati hain
thirakti nachti
basti ki baalaen
yahan sadiyon se barkha-rut ko
jiwan ka har ek lamha
tarasta hai
yahan kheton ke lab ki papDiyon par
tishnagi ka
qatra qatra bas Tapakta hai
Nazm
Qatra qatra tishnagi
Saba Ikram