aaj phir qatl-e-charaghan ka ye manzar dekho
aaj phir KHak si uDti hai chaman-zaron mein
phuTa phir KHun ka sota kahin kohsaron mein
aaj phir maqtal-e-insan pe baDi raunaq hai
aaj phir surat-e-shaitan pe baDi raunaq hai
kuchh dhamakon ne jo taswir badal Dali hai
KHak bhi KHak nahin hai yahan ab lale hai
ban ke kaun aaya hai ab nau-e-bashar ka dushman
jis ki nafrat ka nishana bane hain ghuncha dahan
godiyan ujDi hain jin maon ki puchho un se
chaunk uThti hain wo rah rah ke har ek dastak pe
kone kone se jo bachchon ki sada aati hai
pagalon ki tarah man DhunDti rah jati hai
dars-o-tadris ke minar girane walo
nanhe masumon pe hathiyar uThane walo
de sakoge hamein kya chand sawalon ke jawab
tum ne jo zulm kiye kya hai badal us ka sawal
tum ne ek nara-e-takbir lagaya jis dam
khauf-e-allah zara bhi na hua dil pe raqam
zehn mein tere na aaya ki hain bande us ke
jis ke nazdik ibaadat hai mohabbat sab se
tu ne maon ke jigargosho'n ko mara jis dam
hath kanpe na tere dil na hue kyun pur-nam
apne mazhab ki ibaadat ka bharam hai tujh ko
darja paega shahadat ka bharam hai tujh ko
ek dafa paDh le agar waqia-e-karb-o-bala
jaan jaega ke dar-asl ye islam hai kya
tu ne quran jo sahih taur se samjha hota
aaj tujh mein bhi mohabbat ka saliqa hota
Nazm
Qatl-e-charaghan
Shifa Kajgavnwi