shafaq ke rang mein hai qatl-e-aftab ka rang
ufuq ke dil mein hai KHanjar lahu-luhan hai sham
safed shisha-e-nur aur siyah barish-e-sang
zamin se ta-ba-falak hai buland raat ka nam
yaqin ka zikr hi kya hai ki ab guman bhi nahin
maqam-e-dard nahin manzil-e-fughan bhi nahin
wo be-hisi hai ki jo qabil-e-bayan bhi nahin
koi tarang hi baqi rahi na koi umang
jabin-e-shauq nahin sang-e-astan bhi nahin
raqib jit gae KHatm ho chuki hai jang
dilon mein shola-e-gham bujh gaya hai kya kije
koi hasin nahin kis se ab wafa kije
siwae is ke ki qatil hi ko dua dije
magar ye jang nahin wo jo KHatm ho jae
ek intiha hai faqat husn-e-ibtida ke liye
bichhe hain KHar ki guzrenge qafile gul ke
KHamoshi mohr-ba-lab hai kisi sada ke liye
udasiyan hain ye sab naghma-o-nawa ke liye
wo pahna shama ne phir KHun-e-aftab ka taj
sitare le ke uThe nur-e-aftab ke jam
palak palak pe firozan hain aansuon ke charagh
lawen lachakti hain ya bijliyan chamakti hain
tamam pairahan-e-shab mein bhar gae hain sharar
hazar lab se zamin kah rahi hai qissa-e-dard
hazar gosh-e-junun sun rahe hain afsana
chaTak rahi hain kahin tirgi ki diwaren
lachak rahi hain kahin shaKH-e-gul ki talwaren
sanak rahi hai kahin dasht-e-sar-kashi mein hawa
chahak rahi hai kahin bulbul-e-bahaar-nawa
mahak raha hai wafa ke chaman mein dil ka gulab
chhalak rahi hai lab o aariz o nazar ki sharab
jawan KHwabon ke jangal se aa rahi hai nasim
nafas mein nikhat-e-paigham-e-inqalab liye
KHabar hai qafila-e-rang-o-nur niklega
sahar ke dosh pe ek taza aaftab liye
Nazm
Qatl-e-aftab
Ali Sardar Jafri