اردو हिंदी
Qasam us badan ki | Shaahi Shayari
qasam us badan ki

Nazm

Qasam us badan ki

Zahid Hasan

;

qasam us badan ki
aur qasam us badan par khile phulon ki

rut bahaar ki hai aur hawa ki ranon mein mahak khili hai
ab tak

brassiere mein tani un chhatiyon se
parinde apni chonchon mein sher bhar ke late hain

aur mohabbat ki abdiyat ke git gate hain
lai mein jin ki hararat un shabon ki hai

guzrin jo qurbat mein tere badan ki
gahri aankhon wali gham-gusar shaben

batn mein jin ke sadiyan gunjti thin
lekin abdiyat kis ko thi

ma-siwa us lahraati jumbish ke
(jaise tanpure pe ghair iradatan paD gai ho)

aur ta-der dard mein Dubi aawaz
tere badan se ubharti thi

ye dard kya tha?
ki har subh lazzat jis ki labon pe

papDiyon ki manind jami hoti
tere labon pe

mere labon pe
bahaar bahut thi chaar-su baghon mein

aur saDkon ki virani mein
shamen jo istada thin

diwaron ki manind hamare mabain tani rahin
tarik shabon mein jab

sarma ki tez hawaen chalti thin
udasi teri pinDliyon mein sarsaraati thi

tere kanpte badan ki KHushbu
lahariye leti sarshaari mein

yun Dubti ubharti thi
goya!

aur meri ungliyon ki poron mein sulagti thi jo aag
teri chhatiyon ki golaiyon ko mapti

paimaish tere badan ki thi
paimaish zindagi ki

din bit gae!!
aur KHwab hamare apne apne badan kinare

jalte rahe charaghon ki tarah
aur main ki ab tak

yaad ke peDon se mohabbaton ke phul chun chun kar
dil ke tasht mein dharta jaun

teri maujudgi ki talab mein