mera bap nanga tha
main ne apne kapDe utar kar use de diye
zamin bhi nangi thi
main ne use
apne makan se dagh diya
sharm bhi nangi thi main ne use aankhen din
pyas ko lams diye
aur honTon ki kyari mein
jaane wale ko bo diya
mausam chand liye phir raha tha
main ne mausam ko dagh de kar chand ko aazad kiya
chita ke dhuen se main ne insan banaya
aur us ke samne apna man rakkha
us ka lafz jo us ne apni paidaish pe chuna
aur bola
main teri kokh mein ek hairat dekhta hun
mere badan se aag dur hui
to main ne apne gunah tap liye
main man banne ke baad bhi kunwari hui
aur meri man bhi kunwari hui
ab tum kunwari man ki hairat ho
main chita pe sare mausam jala Dalungi
main ne tujh mein ruh phunki
main tere mausamon mein chuTkiyan bajaane wali hun
miTTi kya sochegi
miTTi chhanw sochegi aur hum miTTi ko sochenge
tera inkar mujhe zindagi deta hai
hum pairon ke azab sahen
ya dukhon ke phaTe kapDe pahnen
Nazm
Qarz
Sara Shagufta

