hamila badliyon ne
apne kaTe-phaTe kinaron mein
chandi ki jhaalaren laTka rakhi thin
aur apni dulaiyon ke baKHiyon mein
rangon ki bichkariyan chhupa rakkhi thin
ufuq surKH tha
jaise shahr ke shohde
Darpok dukan-daron par
apni dhak jamane
nai kaTaiyan kamane par muqarrar hun
sode ki botalon se
ek dusre par hamla-awar hun
aur fuTpathon par
shishon ke TukDon se
ajnabi rahgiron ke
nange pairon se
sirf unnab dastiyab ho
zamin gulnar bane
bas isi tarah ka rang aasman mein
khila hua mila
raat ki fasil ke qarib
sham ka muhasara kiye
paDa hua tha main
*
ai allama aaj
tere kisan ki kafir beTi
apne git utar ke
meri samt se
apna biddat phere
isi nim-barahna KHunin-manzar mein
ugi hui thi
wadi ke diye mein
shoale ki tarah
laraz rahi thi
is ki nangi piTh par
tani hui spaini riDh ki haDDi ke
aas pas
muztarib chuTkiyon bhare
rasile kulhon ke
jalali tanaw ne
do nanhe nanhe qaus bana diye the
jin mein jate din ki raushni
pare ki tarah
phisal phisal kar jama ho rahi thi
aur un gunge halqon ke
tang-dan mein
jaan paD gai thi
aaj unhi koson mein
apni aankhen chhoD chala
aur apne gham bhul gaya
mere log nai tahzib
musaKHKHar karne aae the
wo tariKH hamesha yaad rahi
us ka sog abhi tak hai
Nazm
Qartaba ka muhasara
Saqi Faruqi