1
mujh se anjaan bane dur bahut dur sahi
samne baiTha nazar aata hai
mujh ko mahsus ye hota hai meri umr ke sare lamhe
titliyan ban ke teri samt uDe jate hain
aur tere chaar taraf
rang-dar-rang kai haale banate hue lahraate hain
phul chun chun ke palaT aate hain
mujhe mahkate hain
2
mujh se anjaan bane
pas bahut pas se to jab guzre
mujh ko mahsus ye hota hai meri umr ke sare lamhe
ruTh kar mujh se bahut dur kisi sahra mein
dhup mein jalte hain
tapte hue zarron se lipaT jate hain
aur chingariyan ban ban ke palaT aate hain
mujhe jhulsate hain
Nazm
Qarib-o-dur
Nahid Qasmi