dekh ai mere ham-zad
dekh apne bhitar mein
tere ek zindan mein
kitne hi ye qaidi hain
be-shumar lafzon ke
zat mein jo gunge the
aah bhari kuchh baaton ke
zulm ki tapti chhaya mein
labon pe aate nalon ke
jo kirchi kirchi TuT gae
wo shishe sab armanon ke
wo jism pe tere bojh nahin
ye chhaale teri ruh pe hain
main Darta hun
main Darta hun
jo chhaale yak dam phuT gae
aazad hue jo honTon se
dariya ka ruKH ye moD na den
aur ek nai tahrir se ye
unwan kahani badal na den
Nazm
Qaidi alfaz
Saeed Naqvi