اردو हिंदी
Qaid-e-tanhai | Shaahi Shayari
qaid-e-tanhai

Nazm

Qaid-e-tanhai

Faiz Ahmad Faiz

;

dur aafaq pe lahrai koi nur ki lahr
KHwab hi KHwab mein bedar hua dard ka shahr

KHwab hi KHwab mein betab nazar hone lagi
adam-abaad-e-judai mein sahar hone lagi

kasa-e-dil mein bhari apni subuhi main ne
ghol kar talKHi-e-diroz mein imroz ka zahr

dur aafaq pe lahrai koi nur ki lahr
aankh se dur kisi subh ki tamhid liye

koi naghma, koi KHushbu, koi kafir surat
be-KHabar guzri, preshani-e-ummid liye

ghol kar talKHi-e-diroz mein imroz ka zahr
hasrat-e-roz-e-mulaqat raqam ki main ne

des pardes ke yaran-e-qadah-KHwar ke nam
husn-e-afaq, jamal-e-lab-o-ruKHsar ke nam