aaKHir-e-shab ki udasi nam fazaon ka sukut
zaKHm se mahtab ke rista hai kirnon ka lahu
dil ki wadi par hai be-mausam ghaTaon ka sukut
kash koi gham-gusar aae madaraaten kare
mom-batti ki pighalti raushni ke karb mein
dukh bhare naghme sunae dukh bhari baaten kare
koi afsana kisi TuTi hui mizrab ka
fasl-e-gul mein raegan arz-e-hunar jaane ki baat
sip ke pahlu se moti ke juda hone ka zikr
mauj ki sahil se Takra kar bikhar jaane ki baat
dida-e-pur-KHun se kasa tak ki manzil ka bayan
zindagani mein hazaron bar mar jaane ki baat
adl-gah-e-KHair mein pasang-e-shar ka tazkira
aaina-KHane mein KHal-o-KHat se Dar jaane ki baat
kash koi gham-gusar aae madaraaten kare
mom-batti ki pighalti raushni ke karb mein
dukh bhare naghme sunae dukh bhari baaten kare
Nazm
Qaid-e-hayat o band-e-gham
Shaz Tamkanat