suna hai resham ke kiDon ne
patton ki hariyali chaTi
shabnam ke qatron ki damak bhi
phulon ke rangon ko churaya
chand ki kirnon ke lachchhon se resham kata
aur ek than kiya tayyar jis ko pa lene ki KHatir
shirin ne farhad ko becha
hir ne hire
laila ne zulfon ki siyahi
lekin sauda ho na saka
ab phulon mein rang nahin hai
shabnam pani ke qatron mein Dub gai hai
patte patte hain lekin be-ab-o-numu
chand hai lekin bhik ka piyala kirnon se mahrum
suna hai resham ke kiDe ye sochte hain
un shahron se kuch karen
jin mein un ke resham ka gahak hi nahin hai
suna hai shirin hir aur laila apne namon ko badlenge
shayad yunhi un ke aashiq phir un ko pahchan saken
Nazm
Qadr-o-qimat
Yusuf Zafar