shahzada lipaTta hai mujh se aur dur kahin
chiDiya ko sanp nigalta hai
sanson mein ghulti hain sansen aur!
zahr utarta jata hai
lamhat ke nile qatron mein
kanon mein mere ras gholta hai shabdon ka milan! aur man bhitar
ek chiKH sunai deti hai
jalti poron mein kanpti hai be-maya lams ki KHamoshi
us ke hathon se likhti hun main ishq-badan ki miTTi par
us ki aankhon ke goristan mein dekhti hun ek qabr nai
aur shahzade ke sine par sar rakh kar so jati hun

Nazm
Qabr
Naina Adil