kyun nahin sone dete mujh ko
jab zinda tha tab par bhi yahi karte the
yahan to sukun do mujhe
har roz chale aate ho dafnane
ek murda lash ko zinda kar jate ho
abhi to gala nahin main puri tarah
suna hai kuchh din mein
khod kar mujh ko
ek chhoTe bakse mein bhar doge
ab yahi bacha hai
murdon ko bhi chain ki sans na lene dena
wo jo cross
mere sine par lagaya hai
haTa do use
chubhta hai mujhe
karwaT bhi nahin le pata
kyunki jagah kam hai yahan
paDos ki qabr mein
ek naya musafir aaya hai
baDa KHush-mizaj hai
kahta hai ye zindagi
jine mein baDa maza aata hai
ab mana kar do logon ko
na jalaya kare mom-batti
us ki pighalti bunden
jab girti hai mere upar
to chhaale nikal aate hain
chalo ab chalta hun
aaj sari raat
jag kar kaT di
chalo ab chal kar sota hun
Nazm
Qabr mein zinda hun
Kamal Upadhyay