diary rose bulati hai mujhe likhne ko
ek muddat se koi sher nahin likkha hai
mere sine mein bhi ek dard uTha jata hai
teri yaaden bhi bahut zehn mein chillati hain
pen kaghaz main lun
aur koi naya sher likhun
baiTh jata hun so main diary apni le kar
misre likhta hun
miTata hun
main phir likhta hun
phenk deta hun phir un misron ke kaghaz ko main gola kar ke
phir mere kamre se
aahon ki sada aati hai
dekhta hun
to wahi sare adhure misre
dustbin mein paDe dam toD rahe hote hain
main pas-o-pesh mein paD jata hun
us lamha tab
aur samajh mein nahin aata hai mujhe itna bhi
main ke shaer hun koi
ya ke koi qatil hun
Nazm
Qatil
Mohsin Aftab Kelapuri