sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise main hi KHuda hun
KHuda ka beTa hun
KHudai jis ko chaDhati rahi hai suli par
sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise arsa-e-paikar-e-haqq-o-baatil mein
hamesha main hi jo mazhar raha hun neki ka
shikast khata raha
piya hai zahr bhi main ne kaTaya hai sar bhi
bujhi na pyas magar KHanjar-o-sinan ki abhi
na jaane kitni dafa aur qatl hona hai
mujhe ba-pas-e-digar
sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise main hi zamane mein ek qatil hun
aur aisa qatil-e-be-chehra jis ko sadiyon se
zamana DhunD raha hai
magar nahin milta

Nazm
Qatil-e-be-chehra
Sulaiman Areeb