dur se chal ke aaya tha main nange panw nange sar
sar mein gard zaban mein kaTne panw mein chhaale hosh the gum
itna pyasa tha main us din jitna chah ka mara ho
chah ka mara wo bhi aisa jis ne chah na dekhi ho
itne mein kya dekha main ne ek kuan hai suthra sa
jis ki man hai pakki unchi jis par chhanw hai peDon ki
chaDh kar man par jhanka main ne josh-e-talab ki masti mein
kitna gahra itna gahra jitni hijr ki pahli raat
kaisa andha aisa andha jaisi qabr ki pahli raat
kankar le ke phenka tah mein
pani ki aawaz na aai
us ka dil bhi KHali tha
Nazm
Pyas
Khurshid-ul-islam