sach hai pyasi hun main 
behad pyasi 
lekin tum se kis ne kaha 
ki tum meri pyas bujhao 
kahin ziyaada KHali ho tum 
mujh se kahin ziyaada rete 
aur tumhein ehsas tak nahin 
bharna chahte ho tum 
apna KHali-pan 
meri pyas bujhane ke nam par 
tajjub hai 
mujhe mukammal banana chahta hai 
ek aadha 
adhura insan
        Nazm
Pyas
Deepti Mishra

