hijr ki ok se
dard pite hue
pyas baDh jati hai
haule jaDon tak jati hai
har taraf apne KHeme laga leti hai
ruh mein jism mein
zehn mein soch mein
nind mein KHwab mein
KHun mein aankh mein
ruh ke sahilon
jism ke sab jaziron pe bikhri hui
zehn ki ketiyon
soch ke gulistanon mein ugti hui
nind ke dosh par
KHwab ke pankh phailae uDti hui
KHun ke surKHiyon mein humakti hui
aankh ke aasman par chamakti hui
pyas Dhal jati hai
hijr ki ok mein
Nazm
Pyas daera banati hai
Hamida Shahin