اردو हिंदी
Pyara watan hamara | Shaahi Shayari
pyara watan hamara

Nazm

Pyara watan hamara

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

;

larza tha jis ke bachchon ka nam sun ke aalam
hota tha jin ke aage sheron ka KHatm dam-KHam

jin ka uDa hamesha arsh-e-barin pe parcham
azmat ka jin ki Danka bajta rahega daim

hindostan wahi hai pyara watan hamara
jis mulk mein karoDon be-misl the dilawar

lakhon the bhim arjun balram shyam 'raghubar'
the tir jin ke zewar bistar the jin ke KHanjar

ru-e-zamin pe jin ka paida hua na ham-sar
hindostan wahi hai pyara watan hamara

jis mulk par tha nazan akbar sa shah-e-azam
uDta tha aasman par shohrat ka jis ki parcham

tha adl ka zamana insaf ka tha aalam
'hindu' musalman donon rahte the mil ke baham

hindostan wahi hai pyara watan hamara
the kalidas jaise jis desh mein suKHnawar

kya chiz un ke aage europe ka shakespeare
pamal ho chuka hai wo gulistan sarasar

is ghair-haal mein bhi hai kul jahan se behtar
hindostan wahi hai pyara watan hamara

'gautam' se ilm-dan ko jis ne janam diya tha
'miran' ne jis zamin par KHush ho ke sam piya tha

'patanjali' ko paida jis mulk ne kiya tha
aalam ne falsafe ka jin se sabaq liya tha

hindostan wahi hai pyara watan hamara
godi mein jis ki ab tak gama sa pahlwan hai

nazron mein kal jahan ki jo rustam-e-zaman hai
taqat ka jis ki qail har pir aur jawan hai

wo sainkaDon jawanon pe aaj tak garan hai
hindostan wahi hai pyara watan hamara

wo koh-e-nur hira jis ne kiya tha paida
jis ki chamak se aksar shahon ka taj chamka

hiron mein kul jahan ke mana gaya hai yakta
mumkin nahin abad tak jis ka jawab milna

hindostan wahi hai pyara watan hamara
tagore se jahan hun shair bhi aur hunar-war

jis ki zamin pe ab tak 'gandhi' hai aur jawahar
'abul-kalam' jaise jis mulk mein hon leader

azmat ka jin ki sikka hai kul jahan ke dil par
hindostan wahi hai pyara watan hamara

rana ne jis zamin par ki tegh aazmai
jis mulk par hazaron wiron ne jaan ganwai

sahra mein jis ke mohan ne bansuri bajai
murda dilon mein ulfat ki aag si lagai

hindostan wahi hai pyara watan hamara
jis mulk mein thin lakhon sita si pak-daman

teghon ke sae mein jo karti thi dharm-palan
shadab ho raha tha ismat ka jin se gulshan

qail hain jin ki ismat ke dost aur dushman
hindostan wahi hai pyara watan hamara

zarKHez mulk koi jis ke nahin barabar
roz-e-azal se ab tak sarsabz hai sarasar

kanon mein aaj tak bhi jis ke hain sim aur zar
jis ki zamin ugalti hai lal aur jawahar

hindostan wahi hai pyara watan hamara