wo chain kahan apne ghar ka wo baat kahan apne ghar ki pyara pyara ghar apna
wo raj kahan apne ghar ka wo raat kahan apni ghar ki aankhon ka tara ghar apna
sukh chain agar duniya mein hai apne hi ghar mein milta hai sukh ka sahaara ghar apna
dukh-dard ki gar koi dawa hi apne hi ghar ki siwa hai dukh ka mudawa ghar apna
wo ghar wali sundar chatera ghar ki sewa karne wali dil ka dilasa ghar apna
aaram hamein dene wali aap musibat bharne wali jaan se pyara ghar apna
aankhon ke tare laDle ghar ke sab mil kar ghar sar pe uThate dudhon nahaya ghar apna
hanste-hansate ruThte mante sunte kahani sote-sulate basa-basaya ghar apna
hum par jaan chhiDakne wala wo parwan chaDhane wala palne wala ghar apna
wo balwan banane wala wo insan banane wala Dhaalne wala ghar apna
wo pak hawa apne ghar ki pyar ki jila apne ghar ki dil mein samaya ghar apna
isar-e-wafa apne ghar ka wo dard diya apne ghar ki ruh pe chhaya ghar apna
jaD buniyaad watan ki ghar hai watan gharon ka apne ghar hai apne gharon ka ghar apna
apne ghar pe nisar watan hai aur watan ke sadqe ghar hai watan ka shaida ghar apna
watan ki chahat apne ghar se watan ki taqat apne ghar se watan ka pyara ghar apna
watan ki daulat apne ghar se watan ki izzat apne ghar se raj dulara ghar apna
Nazm
Pyara pyara ghar apna
Azmatullah Khan