kargar ho gai ahbab ki tadbir ab ke
mang li aap hi diwane ne zanjir ab ke
jis ne har dam mein aane mein takalluf barta
le uDi hai use zulf-e-girah-gir ab ke
jo sada husn ki aqlim mein mumtaz rahe
dil ke aaine mein utri hai wo taswir ab ke
KHwab hi KHwab jawani ka muqaddar the kabhi
KHwab se baDh ke gale mil gai tabir ab ke
ajnabi KHush hue apnon ne duaen mangin
is saliqe se sanwari gai taqdir ab ke
yar ka jashn hai aur pyar ka tohfa hain ye sher
KHud-ba-KHud ek dua ban gai tahrir ab ke
Nazm
Pyar ka tohfa
Sahir Ludhianvi