mashriqi UP curfew mein
ye dharti kitni sundar hai
ye sundar aur dukhi dharti
ye dhani aanchal purab ka
tez raftar rail ke sath
hawa mein uDta jata hai
paDa jhil-mil lahraata hai
dur tak hare khet khaliyan
ye dharti aurat koi kisan
sambhaale sar par bhaari bojh
chali hai khet se ghar ki or
wahi ghar jis ki chhat par aaj
krodh ka gidh manDraata hai
jhapaT kar par phailata hai
os se gila hai sabza
ki gile hain mere do nain
paDe maTi patthar ke Dher
wahi masjid mandir ke pher
tane logon ke tewar dekh
isi dharti par soya put
jag kar tumhein manata hai
'kabira' kuchh samjhata hai
jahan hon nafrat ke ghamsan
nahin rahte us ja bhagwan
nahin karta hai nazar rahim
nahin karte hain phera ram
tumhaari minnat karta hai
KHak par sis jhukata hai
'Kabira' kuchh samjhata hai
isi sarju nadiya ke par
kamal-kunjon par jahan bahaar
khaDe hain hare bans ke jhunD
gaDa hai gautam ka sandesh
khile hain jahan basanti phul
khuda hai patthar par updesh
aDe jab do firqon ki aan
tule hon de dene par jaan
hai asli jit ki bas ye rit
ki donon jaen barabar jit
natija-KHez yahi anjam
na samjho warna jang tamam
hui jis yudh mein ek ki haar
wo hota rahega baram-bar
na donon jab tak miT jaen
na donon jaen barabar haar
yahi Takrao ka hai qanun
yahi gautam ka uttam gyan
ki jis ke aage ek jahan
adab se sis jhukata hai
tumhi to waris the is ke
tumhein kyun bisra jata hai
saje rahnuma ke sar dastar
paDen panDaw ke gale mein haar
jale hain jin ke chulhe roz
bhare hain jin ke sada bhanDar
are tu murakh kyun har bar
jaan kar dhoka khata hai
lahu mein aap nahata hai
Nazm
Purwanchal
Fahmida Riaz