ab in bosida kaghaz ke pulandon ki
zarurat kya bachi hai
in lifafon par pate sare
purane ho chuke hain
in ko rakhna kis liye
be-rang tahriron mein Dube
in KHaton ki kyun hifazat chahiye
ye purani filen zae agar ho jaen
to nuqsan kya hai
hath kyun rukte hain
in kaghaz ke TukDon ko jalane mein
ab in ki manawiyat kya bachi hai
itne mah o sal ke baad
is zamane mein
mahak kaisi hai in mein
ya jo KHushbu si lapakti hai
to kya hai ye ruton ka KHarKHasha ab koi rut hogi ki jis ne
kaghazon par chhoD rakkha hai asar
barson guzarte hain
nahin, kuchh bhi nahin yaad aata hai
lekin ye mere hath in ko chhute hi
kyun kanpne lagte hain
pahle bhi to bosida bahut kaghaz jalae hain
na jaane in purani filon par
kaun se guzre hue
lamhon ke sae hain
Nazm
Purani filon mein gungunati sham
Ain Tabish