اردو हिंदी
Purane shahron ka safar | Shaahi Shayari
purane shahron ka safar

Nazm

Purane shahron ka safar

Kumar Pashi

;

jab mein apne bahut purane shahron mein jaunga
meri gaThri mein muTThi bhar miTTi

kuchh phal phul, sitare honge
kuchh galiyan, kuchh murtiyan

kuchh rang ba-rang aqide
kuchh nazzare honge

aur mere hamrah, mere ahbab
birha ke mare honge

hawa kahegi kyun aae ho
ye sab chizen kyun lae ho

aasman par uDte hue anjaan parinde
chhoTe chhoTe jhunDon mein dharti par utarte

sab ko dikhai denge
aur purane shahron wale

apne gharon ki chhaton par chaDh ke
barson talak duhai denge

aur hamari fath ke nare dur dur tak
chaaron taraf sunai denge