samundar chandni mein raqs karta hai
parinde baadalon mein chhup ke kaise gungunate hain
zamin ke bhed jaise chand taron ko batate hain
hawa sargoshiyon ke jal bunti hai
tumhein fursat mile to dekhna
lahron mein ek kashti hai
aur kashti mein ek tanha musafir hai
musafir ke labon par wapsi ke git
lahron ki subuk-gami mein Dhalte
dastan kahte
jaziron mein kahin bahte
purane sahilon par gunjte rahte
kisi manjhi ke naghmon se gale mil kar palaTte hain
tumhaari yaad ka safha ulaTre hain
abhi kuchh raat baqi hai
tumhaara aur mera sath baqi hai
andheron mein chhupa ek raushni ka hath baqi hai
chale aana
ki hum us aane wali subh ko ek sath dekhenge
Nazm
Purane sahilon par naya git
Saleem Kausar