اردو हिंदी
Purana coat | Shaahi Shayari
purana coat

Nazm

Purana coat

Syed Mohammad Jafri

;

bana hai coat ye nilam ki dukan ke liye
sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye

baDa buzurg hai ye aazmuda-kar hai ye
kisi mare hue gore ki yaadgar hai ye

na dekh kuhniyon pe is ki KHasta-samani
pahan chuke hain ise turk aur irani

baDa buzurg hai ye go qalil qimat hai
miyan buzurgon ka saya baDa ghanimat hai

jo qadr-dan hain wo jaante hain qimat ko
ki aaftab chura le gaya hai rangat ko

ye coat coaton ki duniya ka bawa-adam hai
agarche hai wo nigah jo nigah se kam hai

guzishta sadiyon ki tariKH ka waraq hai ye coat
KHarido is ko ki ibrat ka ek sabaq hai ye coat