اردو हिंदी
Pul | Shaahi Shayari
pul

Nazm

Pul

Ameeq Hanafi

;

baDi muddaton mein mere sehn ki miThi nim ek dam gunj uThi
hari pattiyon mein kahin koi baja baja

koi sur pighal kar hawaon mein bahne laga
baDi muddaton mein daraKHt aaj phir mujh se kuchh kahne sunne laga

koi sur pighal kar hawaon mein bahne laga
main tabdil hone laga

laga rail ki siTi sun kar koi lomDi chiKHti ho
laga horn sun kar ki kutton ka dil bhunkta ho

laga kar-KHanon ke bhonpu gadhon ki tarah rengte hon
laga jaise pressure-cooker mein ghizaon ka dam ghuT raha ho

laga jaise chhat par chaDha tez pankha bahut der se baDbaData chala ja raha ho
agar koi sur mein hai to bas wahi ajnabi tanha bulbul

ki jis ne zara der ko nim ki Daliyon ko chaman-zar 'KHayyam-nesha-puri'
ka bana kar

mujhe apni patthar jagi aatma se mulaqat ka phir se mauqa daya hai!