tumhein bhejun kitab-e-zindagi apni
zara tartib de dena
jahan par baat mubham hai jise tafsil lazim hai
wahan par hashiya dena
kahin gar do mukammal lafz ikaTThe ho gae hon to ye qurbat ghair-fitri hai
zaruri hai munasib fasla dena
jahan par KHatm hota ho koi dard-ashna jumla
faramoshi ka nuqta sabt kar dena
wahin par KHatm kar dena
nae auraq mein le kar nahin chalna
adaq si istelahen hain kai jin ko samajhne se
main qasir aaj tak hun
phir baDe uljhao hain jin ka sira ab tak nahin milta
tumhein lazim hai wahdani KHaton mein un ka matlab khol kar likhna
maqam aise bhi hain jin par qadam yun Dagmagae the
ki shanon par rakhi sari imarat Dol jati thi
unhen wawin de dena
kai KHushiyon ki satren thin
jo gham-angez pairon mein kahin mil-jul gai hain
chhanT kar un ko alag karna
naya unwan de dena
zara kuchh shakl ban jae to yun karna
hawa ke hath mein dene se pahle
ek purani naql apne pas rakhna
ek mujhe irsal kar dena
Nazm
Punctuation
Saima Esma