muflisi thi to us mein bhi ek shan thi
kuchh na tha kuchh na hone pe bhi aan thi
choT khati gai choT karti gai
zindagi kis qadar murda maidan thi
jo ba-zahir shikasta sa ek saz tha
wo karoDon dukhe dil ki aawaz tha
rah mein girte paDte sambhalte hue
samraji ke tewar badalte hue
aa gae zindagi ke nae moD par
maut ke raste se Tahalte hue
ban ke baadal uThe desh par chha gae
prem-ras sukhe kheton pe barsa gae
ab wo janta ki sampat hai dhanpat nahin
sirf do-chaar ke ghar ki daulat nahin
lakhon dil ek hon jis mein wo prem hai
do dilon ki mohabbat mohabbat nahin
apne sandesh se sab ko chaunka diya
'prem' ne prem ka arth samjha diya
fard tha fard se karwan ban gaya
ek tha ek se ek jahan ban gaya
ai banaras tera ek musht-e-ghubar
uTh ke meamar-e-hindostan ban gaya
marne wale ke jine ka andaz dekh
dekh kashi ki miTTi ka eajaz dekh

Nazm
Premchand ek tha ek se ek jahan ban gaya
Nazeer Banarasi